Main Aisa Kyun Hoon
- Vandana Herkal
- Jun 25, 2024
- 1 min read
Main aisa kyun hoon, thoda alag sa hoon
Jaisa bhi hoon, main aisa kyun hoon
Main bol nahi pata, meri zarooratein bata nahi pata
Apki nazron se nazrein mila nahi pata
Aap kahenge kitna nasamajh hai, lekin aisa nahi ki main kuch samajh hi nahi pata
Bheed mein kabhi main ghabra jata hoon, Shor se kabhi mein pareshan hota hoon
Kabhi apne kaan band kar leta hoon, To kabhi apne haath jhatak deta hoon
Aap kahenge kitna ajeeb hoon, lekin main to sirf khud ko isi tarah sambhal leta hoon
Kabhi bhook lage to ro deta hoon, kabhi neend aye to bhi rota hoon
Kabhi pareshan hota hoon to khud ko chot bhi pahuchata hoon
Aap kahenge bada chidchida hoon, kya karoon shabdon mein bata jo nahi pata hoon
Kabhi khush hota hoon, to nachta hoon, kudta hoon, bhagta hoon, daudta hoon
Zor se hasta hoon, gaata hoon, udham machata hoon
Aap kahenge bacha hoon, par aisa nahi ki main bada hona nahi chahta hoon
Aap puchte hai ki samasya kya hai, bimari hai to upchar kya hai
Maa samjhati hai “austim” hai, bimari nahi yeh to “condition” hai
Aap ko pareshan dekh kar, maa keh deti hai, yeh to special hai
Main sochta hoon aisa kya khaas hai, thoda bahut to aap jaisa hi hai
Kabhi dekhiya meri nazar se, main kitni koshish karta hoon aap jaisa hone ki
Apki duniya mein, meri ek duniya banane ki,
Kabhi aap bhi koshish kijiye mujhe samjhne ki
Main aisa kyun hoon, thoda alag sa hoon
Jaisa bhi hoon, main aisa kyun hoon
Comments